• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Pazhmurda Dil Hai Wasl Ke Arman Ko Kya Hua

Pazhmurda Dil Hai Wasl Ke Arman Ko Kya Hua

pazhmurda dil hai vasl ke arman ko kya hua

rota huun main bahar-e-gulistan ko kya hua

kab tak uḌa.un hijr men daman ki dhajjiyan

ai sub.h tere chak-gareban ko kya hua

bulbul ke chahchahe hain na koi shagufta phuul

ai baghban bahar-e-gulistan ko kya hua

dil chiir kar dikhane ki shai ho to main dikha.un

furqat ki raat sadma miri jaan ko kya hua

dushman ka sog saaf hai chehre se ashkar

a.ina dekh zulf-e-pareshan ko kya hua

bulbul hai chup fasurda chaman luT ga.i bahar

main ne kiya jo chak-e-gareban ko kya hua

mahv-e-jamal ho ga.e a.ina dekh kar

tum kah rahe the nargis-e-hairan ko kya hua

main un ko is saval ka ab kya javab duun

daman ko astin ko gareban ko kya hua

kanTe hazar dil men hain kis kis ko roiye

phulon ko bulbulon ko gulistan ko kya hua

dil TukḌe ho ke sabr ka daman hua hai chaak

kis se kahun ki chak-gareban ko kya hua

uljha hua hai ‘shad’ ka dil baal kya banen

vo kah rahe hain zulf-e-pareshan ko kya hua

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aankh Tishna Bhi Nahin honT Sawali Bhi Nahin

ismail-merathi

Wahi Sail Wahi Masul Wahi Hajat-Mand

Kitna Bekar Tamanna Ka Safar Hota Hai

poet

Tanhaiyan Jo Ras Na Aaen to Kya Karen

zafar-iqbal

Badla Ye Liya Hasrat-E-Izhaar Se Humne

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet