nikhat-e-turra-e-mushkin jo saba laai hai
koi avara hua hai koi saudai hai
be-khudi se hai yahan be-khabari ka aalam
khud-numai ko vahan shaghl-e-khud-arai hai
apni hi jalvagari hai ye koi aur nahin
ghaur se dekh agar aankh men binai hai
hai mujhe kashmakash-e-sai-o-talab se nafrat
dil mira tark-e-tamanna ka tamannai hai
juz dil-e-pak na paaya haram-e-khas kahin
dair-o-kaaba men abas nasiya-farsai hai
naaz ki jalvagari ke liye manzar hai niyaz
na-tavani miri ham-rang-e-tavanai hai
jab tabiat hi na hazir ho to be-sud hai fikr
sher-goi to kahan qafiya-paimai hai
munh pe laun to ye kam-zarf bahak jaaen abhi
baat jo pir-e-kharabat ne samjhai hai
khud munadi o munada huun na ghaibat na huzur
alam-e-ghaib se yuun dil men nida aai hai
dil ye kahta hai ki hasil ki hai tahsil abas
na tamanna koi shai hai na tamannai hai