shor ab aalam men hai us shobada-pardaz ka
charkh bhi ik shobada hai jis sarapa naaz ka
sada-rui qahr thi aur us pe ab aaya hai khat
dekhiye anjam kya hota hai is aghaz ka
tiir hove jis ki mizhgan aur ho abru kaman
dil na ho qurban kyuun kar aise tir-andaz ka
us ke shahin-e-nigah ko tair-e-dil ke liye
panja-e-mizhgan nahin goya hai chungul-baz ka
‘aish’ mujh ko be-par-o-bali par-e-parvaz hai
main nahin mohtaj kuchh bal-o-par-e-parvaz ka
Leave a Reply