kis ki ankhon ne kiye ashk ravan mere ba.ad
ho gaya raaz mohabbat ka bayan mere ba.ad
mere baa.is hua duniya men ta.aruf tera
phir tire husn ke charche ye kahan mere ba.ad
jin ki nazron men khaTakta tha main kanTe ki tarah
un ki nazron men hai tarik jahan mere ba.ad
phir kisi ne na suna tazkira-e-qatl-o-jafa
kaT ga.i ḳhanjar-e-qatil ki zaban mere ba.ad
mujh ko ‘jarrar’ fana ishq-e-sitamgar ne kiya
ab kahan ja.ega ye dushman-e-jan mere ba.ad
Leave a Reply