• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aata Hi Nahin Hone Ka Yaqin Kya Baat Karun

Aata Hi Nahin Hone Ka Yaqin Kya Baat Karun

ahmad-rizwan

Ahmad Rizwan

aata hi nahin hone ka yaqin kya baat karun

hai duur bahut vo khvab-nashin kya baat karun

kya baat karun jo aks tha meri ankhon men

vo chhod gaya ik shaam kahin kya baat karun

kya baat karun jo ghadiyan meri hamdam thiin

vo ghadiyan hi azar banin kya baat karun

kya baat karun mire sathi mujh se chhut gae

vo log nahin vo khvab nahin kya baat karun

kya baat karun ye log bhala kab sunte hain

sab baten andar duub gaiin kya baat karun

kya baat karun apnon ki jitni lashen thiin

mire siine men sab aan girin kya baat karun

kya baat karun jo baten tum se karni thiin

ab un baton ka vaqt nahin kya baat karun

kya baat karun kabhi paani baten karta tha

ye dariya is ki khushk zamin kya baat karun

kya baat karun sahra men chand akela hai

aur mere saath bhi koi nahin kya baat karun

kya baat karun ‘rizvan’ ki rona aata hai

sab baten us ki baat se thiin kya baat karun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Baada-E-Ishq Se Sarshaar Guru-Nanak The

khiDkiyan Sab Band Kamron Aur Dalanon Ke Bich

Insan Koi Bhi to Farishta Bana Nahin

poet

Tujhse Bosa Main Na Manga Kabhu Darte Darte

Hara Shajar Na Sahi KHushk Ghas Rahne De

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2026 ยท Urdu Poet