tera sitam jo mujh se gada ne saha saha
tu badshah hai jo mujhe tu ne kaha kaha
daman tere se lag luun agar de raza mujhe
ye na-tavan ghubar agar yaan raha raha
rakh astin shitab miri chashm-e-tar pe jaan
varna phire hai sail men aalam baha baha
nikle hai laala khaak ke niche se surkh surkh
rangin hua shahidon ke khuun men naha naha
ab ji ke dar se us ko ‘bayan’ tu na chhodiyo
hain mard ve ki baanh ko jis ki gaha gaha