ansuon ke tufan men bijliyan dabi rakhna
sard sard aahon men garmiyan dabi rakhna
kaifiyat gham-e-dil ki ho ayaan na chehre se
parda-e-tabassum men talḳhiyan dabi rakhna
kaun sunne vaala hai be-hison ki duniya men
apne gham ki siine men dastan dabi rakhna
kis qadar anokha hai sheva ahl-e-duniya ka
miThi miThi baton men talḳhiyan dabi rakhna
ḳhuub hai tumhara bhi ye kalam-e-fan ‘aḳhtar’
saada saada sheron men shoḳhiyan dabi rakhna
Leave a Reply