har qadam par mujhe laghzish ka guman hota hai
chashm-e-saqi ki navazish ka guman hota hai
ye hijabat-e-ta.ayyun mujhe manzur nahin
fikr-e-azad ko bandish ka guman hota hai
lutf-e-paiham na sahi jaur-e-musalsal hi sahi
har tavajjoh pe navazish ka guman hota hai
un ke aage lab-e-iz.har pe hai mohar-e-sukut
ek ḳhamosh parastish ka guman hota hai
main qafas men huun qafas pesh–e-nigah-e-sayyad
par-e-parvaz men jumbish ka guman hota hai
sirf tum dil ki tabahi ka sabab kya hote
baḳht-e-na-saz ki sazish ka guman hota hai
baat ye kya hai ‘uruj’ in ki har ik baat men aaj
apni har tarz-e-guzarish ka guman hota hai
Leave a Reply