hamare doston men koi dushman ho bhi sakta hai
ye angrezi dava.en hain reaction ho bhi sakta hai
kisi mathe pe har dam ek hi label nahin rahta
bhikari chand hafton men mahajan ho bhi sakta hai
siyasat naqli noTon ki tarah dhoke se chalti hai
jise rahbar samajhte ho vo rahzan ho bhi sakta hai
mire bachchon kahan tak baap ke kandhon pe baiThoge
kisi din fail us gaaḌi ka engine ho bhi sakta hai
kabhi chashma haTa kar dekh ankhon se ta.assub ka
tire daman se ujla mera daman ho bhi sakta hai
Leave a Reply