• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Andaz Nirala Hai Ada Aur Hi Kuchh Hai

Andaz Nirala Hai Ada Aur Hi Kuchh Hai

poet

andaz nirala hai ada aur hi kuchh hai

ye husn nahin nam-e-ḳhuda aur hi kuchh hai

kahte ho ham ab ghair ko aane nahin dete

ya-rab yahi sach ho pe suna aur hi kuchh hai

parda na rakha tere lab-e-ruh-faza ne

ham jante the ab-e-baqa aur hi kuchh hai

jo main ne kaha tha vo bigaḌne ki na thi baat

kahta huun ki qasid ne kaha aur hi kuchh hai

hamdam yahi janan ki juda.i ka hai rona

kahte hain jise marg vo kya aur hi kuchh hai

iisa se kaho murda-e-sad-sala jila len

bimar-e-mohabbat ki dava aur hi kuchh hai

farhad-e-havas-pesha ne bhi di to sahi jaan

par sheva-e-arbab-e-vafa aur hi kuchh hai

tum husn ki ḳhairat men kya dete ho laao

har-chand tamanna-e-gada aur hi kuchh hai

ham zohd-o-ibadat ke bhi munkir nahin ‘nazim’

par qa.eda-e-faqr-o-fana aur hi kuchh hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Jab Hai Ki Ek KHwab Se Rishta Hai Hamara

Maulana Rumi

Be-Taat-e-din-e-Bahisht Rahman Ma-Talab

Sukhe Patte uDa Raha Hoga

Jo Ba-Zahir Sahar-Asar Nazar Aate Hain

Gora mukhDa Gore Gal

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet