zaat ka meri jo chehra hota
mere ghar men nahin shisha hota
ye kuaan itna na gahra hota
jo kisi ne kabhi jhanka hota
tum ne paude ko tha saa.e men rakha
dhuup men rakhte to zinda hota
jo andheron men ujale palte
to ujalon se andhera hota
tu haqiqat tha nazar aaya nahin
ḳhvab ban jaata to dekha hota
tu jo aansu na bana hota agar
aankh se meri na Tapka hota
us ke maan baap nahin hai shayad
varna us men kahin bachcha hota
teri mahfil ye na hoti jo ‘nava’
tu kahin kone men baiTha hota
Leave a Reply