raat kya kya mujhe malal na tha
ḳhvab ka to kahin ḳhayal na tha
aaj kya jaane kya hua ham ko
kal bhi aisa to ji niDhal na tha
bole sab dekh meri jan-kavi
ye to farhad ka bhi haal na tha
jab talak ham na chahte the tujhe
tab tak aisa tira jamal na tha
ab to dil lag gaya hai kyuun ki na aa.en
pahle kahte to kuchh muhal na tha
Tal gaya dekh yuun tira abru
ki goya charḳh par hilal na tha
Tuk na Thahra mire vo paas aa kar
kuchh tamasha tha ye visal na tha
dekh shab apne rashk-e-laila ko
dang tha main to mujh men haal na tha
sun ke bola tamam qissa-e-qais
ishq ka us ko bhi kamal na tha
itna roya lahu tu kab ‘jur.at’
abhi daman tira to laal na tha
Leave a Reply