dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
jan-e-jan tujh ko ab tiri khatir
yaad ham koi dam nahin karte
dusri haar ki havas hai so ham
sar-e-taslim kham nahin karte
vo bhi padhta nahin hai ab dil se
ham bhi naale ko nam nahin karte
jurm men ham kami karen bhi to kyuun
tum saza bhi to kam nahin karte
Leave a Reply