ruḳh kisi ka nazar nahin aata
koi aata nazar nahin aata
kya kahun kya malal rahta hai
kya kahun kya nazar nahin aata
sunne vaale to baat ke lakhon
kahne vaala nazar nahin aata
duur se vo jhalak dikhate hain
chand puura nazar nahin aata
khoi khoi nazar ye kyuun ‘muztar’
kuchh kaho kya nazar nahin aata
Leave a Reply