usi ka dard hai jis ke jigar ka lasha hai
main janta huun ki baaqi to sab tamasha hai
main kya bata.un jo TuuTa hai mujh pe zulm-o-sitam
main kya likhun ki mira dard be-tahasha hai
buni hain sazishen mausam ne dhuup se mil kar
hava ne mere har ik phuul ko ḳharasha hai
amir-e-shahr main tujh ko tiri duha.i duun
ki mera tola bhi teri nazar men masha hai
ujaḌte hue vo kanpta to hoga ‘zubair’
vo ḳhvab haath nahin ḳhuun se tarasha hai
Leave a Reply