hijr samundar nahin vasl kinara nahin
kaun hai kis moḌ par koi ishara nahin
us se bichhaḌ ke agar ham hain tamasha to kya
us ke siva to koi mahv-e-nazara nahin
chhoḌ chale hain yahan ibrat-e-a.indagan
ham bhi to us ke nahin vo jo hamara nahin
aaj hi darpesh tha ham ko safar raat ka
aaj hi aflak par koi sitara nahin
Leave a Reply