dhuup huī to āñchal ban kar kone kone chhā.ī ammāñ
saare ghar kā shor-sharāba sūnā-pan tanhā.ī ammāñ
saare rishte jeTh-dopahrī garm havā ātish añgāre
jharnā dariyā jhiil samundar bhīnī sī purvā.ī ammāñ
us ne ḳhud ko kho kar mujh meñ ek nayā ākār liyā hai
dhartī ambar aag havā jal jaisī hī sachchā.ī ammāñ
ghar meñ jhīne rishte maiñ ne lākhoñ baar udhaḌte dekhe
chupke chupke kar detī hai jaane kab turpāī ammāñ
bābū-jī guzre aapas meñ sab chīzeñ taqsīm huiiñ tab
maiñ ghar meñ sab se chhoTā thā mere hisse aa.ī ammāñ