ye sochte hue bazar se nikal aaya
na jaane aadmi kyuun ghaar se nikal aaya
ḳhabar nahin hai ki phir badshah pe kya guzri
ghazal suna ke main darbar se nikal aaya
sabhi khaḌe the khulega abhi dar-e-zindan
main jald-bazi men divar se nikal aaya
ḳhabar ghalat hai main ye baat kahne vaala tha
ki ik revolver aḳhbar se nikal aaya
suḳhan ko na.ara qalam ko alam banate hue
sukut-e-hujra-e-fankar se nikal aaya
ajab nahin hai ki bazar ko baha le jaa.e
jo ashk chashm-e-ḳharidar se nikal aaya
Leave a Reply