zamana yaad rakkhega tumhen ye kaam kar jaana
kisi afsurda chehre men ḳhushi ke rang bhar jaana
kisi bhi hadse par us ki ankhen nam nahin hotin
isi halat ko kahte hain miyan ehsas mar jaana
agar jaana zaruri hai to thoḌa muskura bhi de
mujhe achchha nahin lagta tira ba-chashm-e-tar jaana
abhi bhi vaqt hai baaqi taḌap paida karo varna
qayamat ki nishani hai duaon se asar jaana
shahadat ki jabin par aaj bhi raushan hai vo lamha
vo saa.at jis men tha shabbir ka sajde men sar jaana
ka.i ankhon ke dipak muntazir hain dil ki rahon men
miri avargi lazim hai mera ab to ghar jaana
ana ko bechna ‘shayan’ zillat ki nishani hai
ana ko bechne se to kahin behtar hai mar jaana
Leave a Reply