khel rachaya us ne saara varna phir kyuun hota main
us ne hi ye bhiiḌ laga.i bana huun sirf tamasha main
us ne apne dam ko phunka aur mujhe bedar kiya
main paani tha main zarra tha lambi niind se jaaga main
us ne pahle ruup diya phir rang diya phir izn diya
bahr o bar men barg o samar men na.e safar par nikla men
a.ine ki ḳhvahish kar ke ḳhud ko bhi azar diye
dekh liya ab a.ine men kab huun tere jaisa main
qatl-o-gharat ke hangame shor-sharaba to hoga
mujh ko yahan par bhejne vaale vahan na rahta achchha main
Leave a Reply