jaisa hamen guman tha vaisa nahin raha
qissa bhi iḳhtitam pe qissa nahin raha
ik ḳhauf saath saath hai unche makan ka
aisa nahin ki shahr men saaya nahin raha
sailab apne saath baha le gaya use
niila subuk-ḳhiram vo dariya nahin raha
kashti ke badban men simTi rahi hava
lutf-e-safar ki main tha akela nahin raha
milti hai biich biich men shahron ki raushni
sahra ka gasht khel-tamasha nahin raha
kahte nahin ho sher buzurgon ki tarz par
tum ko ‘suhail’ ḳhauf ḳhuda ka nahin raha
Leave a Reply