dilon par naqsh hona chahta huun
mukammal maut se ghabra raha huun
sabhi se raaz kah deta huun apne
na jaane kya chhupana chahta huun
tavajjoh ke liye tarsa huun itna
ki ik ilzam par ḳhush ho raha huun
mujhe mahfil ke bahar ka na jaano
main apna jaam ḳhali kar chuka huun
ye aadat bhi usi ki di hui hai
ki sab ko muskura kar dekhta huun
alag hoti hai har lamhe ki duniya
purana ho ke bhi kitna naya huun
Leave a Reply