hunar-mandi se jiine ka hunar ab tak nahin aaya
safar karte rahe tarz-e-safar ab tak nahin aaya
ghalat hai tere ashkon men asar ab tak nahin aaya
tujhe rona ai meri chashm-e-tar ab tak nahin aaya
hazaron falsafi qabza kiye baiThe hain zehnon par
mire qaabu men ya-rab mera sar ab tak nahin aaya
paḌa rahta hai har dam ḳhauf ka saaya rag-e-jan par
koi be-ḳhauf lamha be-ḳhatar ab tak nahin aaya
hamare sar pe hai saya-fagan ummid ka suraj
hamari raah men koi shajar ab tak nahin aaya
hamen to qafiya-paima.i karna bhi nahin aata
baḌa fan hai jo aa jaata magar ab tak nahin aaya
vo kahte hain dua.en ba-asar hoti hain ‘ḳhalid’ ki
main kahta huun koi zer-e-asar ab tak nahin aaya
Leave a Reply