ye raat din ka badalna nazar men rahta hai
hamara zehn musalsal safar men rahta hai
nazar men us ki to vus.at hai asmanon ki
go dekhne ko parinda shajar men rahta hai
hamara naam vo le le to log chaunk uTThen
ki fard fard hamare asar men rahta hai
shajar shajar jo samar hai to dekh ḳhud ko bhi
jahan-e-nau ka tasavvur samar men rahta hai
har ek baat ka bilkul yaqin aaya magar
hamara ḳhauf tumhare agar men rahta hai
tujhe guman hai ki manzil pe to pahunch bhi gaya
har ek shaḳhs yahan rahguzar men rahta hai
use sukun hai is se ki ham ko chain nahin
bas ik junun hamari ḳhabar men rahta hai
nahin hai kuchh bhi vo ai ‘sad’ bas ḳhayal sa hai
magar ḳhayal ka sauda to sar men rahta hai
Leave a Reply