Hairat Hai Jinhen Meri Taraqqi Pe Jalan Bhi

hairat hai jinheñ merī taraqqī pe jalan bhī

haiñ un meñ na.e dost bhī yārān-e-kuhan bhī

hotī thī kabhī mahfil-e-ahbāb meñ raunaq

taarī hai vahāñ ab to udāsī bhī ghuTan bhī

saath us kā nibhātā huuñ to ye merā hunar hai

vo shaḳhs ba-yak-vaqt hai paanī bhī agan bhī

hañste hue chehre pe bhī aatī hai udāsī

hai chāñd kī taqdīr meñ thoḌā sā gahan bhī

is rāh-e-mohabbat kī hai itnī sī kahānī

is raah meñ aa.e haiñ bayābāñ bhī chaman bhī

manzil ke liye mujh ko mile haiñ jo sharāre

shāmil hai unhīñ meñ mire pairoñ kī thakan bhī

be-nām se kuchh dard yahāñ Thahre hue haiñ

hai ek sarā.e kī tarah apnā badan bhī

ab tark-e-ta.alluq kā asar donoñ taraf hai

sharminda jo tū hai to pashemāñ hai ‘pavan’ bhī

Leave a Comment