har na.e chehre se paida ik naya chehra hua
taq-e-nisyan par hai koi aa.ina rakkha hua
be-vasila is jahan men maut bhi mumkin nahin
hila-e-dar-o-rasan bhi hai mira samjha hua
zaḳhm gahre kar rahi hai har na.e misre ki kaaT
sher kahne se bhi dil ka bojh kab halka hua
zindagi kya jaane kyuun mahsus hota hai mujhe
tujh se pahle bhi ho jaise zahr ye chakkha hua
huuk si uThti hai ‘sahba’ asman ko dekh kar
gar main sho.ala huun to phir kyuun ḳhaak se paida hua
Leave a Reply