ik tamannā meñ giraftār the ham bhī tum bhī
saarī duniyā ke gunahgār the ham bhī tum bhī
dilkashī dekh ke chaḌhte hue dariyāoñ kī
Dūbne ke liye tayyār the ham bhī tum bhī
be-sabab donoñ meñ har ek ko dilchaspī thī
aur har ek se bezār the ham bhī tum bhī
kāmyāb aise kahāñ apne muḳhālif hote
mustaqil un ke madad-gār the ham bhī tum bhī
aaj tak jiine kā ilzām liye phirte haiñ
chand sāñsoñ ke ḳhatāvār the ham bhī tum bhī
muskurāhaT meñ kabhī ġham ko chhupā hī na sake
ya.anī nākām adākār the ham bhī tum bhī