tire badan ki nazakaton ka hua hai jab ham-rikab mausam
nazar nazar men khila gaya hai shararaton ke gulab mausam
ham apne gum-gashta valvalon par ḳhunuk havaon ke qahqahon ka
javab dete jo saath laata hamara ahd-e-shabab mausam
vo ek banjar zamin ghar ki jo sun rahi thi sabhi ke ta.ane
ḳhusha ki is baar is zamin ko bhi de gaya ik gulab mausam
amiir logon ki koThiyon tak tire ghazab ki pahunch kahan hai
faqat gharibon ke jhonpaḌon tak hai tera dast-itab mausam
ye barf pighlegi choTiyon se paron men aa.egi phir hararat
bharenge unchi uḌaan phir ham rahega kab tak ḳharab mausam
Leave a Reply