mira us ke pas-e-divar ghar hota to kya hota
qaza se ai falak gar is qadar hota to kya hota
janaze par mire us shoḳh ko laaya hai tu aḳhir
agar ai ishq kuchh tujh men asar hota to kya hota
hua behosh bilkul aah us ki aamad aamad men
gar aane se main us ke ba-ḳhabar hota to kya hota
isi aalam men hain ye lutf ai dil ishq-bazi ke
agar bagh-e-jinan men bul-bashar hota to kya hota
tajalli to hui muusa ko par meri tarah vaa.iz
hamesha jalva-gar har ik shajar hota to kya hota
hunar-mandon ko tere haath se hai zindagi mushkil
jo tujh men bhi koi ai dil hunar hota to kya hota
kiya badnam ik aalam ne ‘ghamgin’ pak-bazi men
jo main teri tarah se bad-nazar hota to kya hota
Leave a Reply