Ishq Ki Koi Agar Sikh Le Gar Mujhse Tamiz

ishq kī koī agar siikh le gar mujh se tamīz

dīn-duniyā meñ huā apne parāyoñ ko aziiz

yā ho shāgird mirā yā mujhe talmīz kare

varna is kūcha-e-ushshāq se kar jaave gurez

maktab-e-ishq se nā-ḳhvāñda uThā jo mahrūm

dono aalam meñ vo kuchh chiiz nahīñ hai nāchīz

mard kyūñkar kahūñ be-ishq jo hove koī

firqa ushshāq meñ us ke ta.iiñ kahte haiñ kanīz

maiñ ne ustād-e-azal se yahī sīkhā thā sabaq

‘āfrīdī’ na kabhī yaar kī chhoḌūñ dahlīz

Leave a Comment