ujala kaisa ujale ka ḳhvab la na sake
sahar se maang ke ham aftab la na sake
ham apne chehra-e-be-dagh ke liye ai aql
tiri dukan se koi naqab la na sake
jo chand par bhi ga.e ham to ḳhaak hi laa.e
zamin ki nazr ko ik aftab la na sake
ga.e to the tire jalvon ko janchne lekin
bacha ke ham nazar-e-intiḳhab la na sake
zamin ki baat zamin ki zaban men kahna thi
ham asman se koi kitab la na sake
Leave a Reply