• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ek Raat Mein Sau Bar Jala Aur Bujha Hun

Ek Raat Mein Sau Bar Jala Aur Bujha Hun

ik raat men sau baar jala aur bujha huun

muflis ka diya huun magar andhi se laḌa huun

jo kahna ho kahiye ki abhi jaag raha huun

so.unga to so ja.unga din bhar ka thaka huun

qindil samajh kar koi sar kaaT na le aa.e

tajir huun ujale ka andhere men khaḌa huun

sab ek nazar phenk ke baḌh jaate hain aage

main vaqt ke show-case men chup-chap khaḌa huun

vo aa.ina huun jo kabhi kamre men saja tha

ab gir ke jo TuuTa huun to raste men paḌa huun

duniya ka koi hadsa ḳhali nahin mujh se

main ḳhaak huun main aag huun paani huun hava huun

mil ja.unga dariya men to ho ja.unga dariya

sirf is liye qatra huun ki dariya se juda huun

har daur ne baḳhshi mujhe me.araj-e-mohabbat

neze pe chaḌha huun kabhi suuli pe chaḌha huun

duniya se nirali hai ‘nazir’ apni kahani

angaron se bach nikla huun phulon se jala huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Khurshid-Ru Ki Sohbat Jo Ab Nahin To Phir Kab

poet

Haal-E-Marg-E-Be-Kasi Sun Kar Asar Koi Na Ho

faraKH-Dast Ka Ye Husn-E-Tang-Dasti Hai

sheikh-ibrahim-zauq

Hain dahan Ghunchon Ke Wa Kya Jaane Kya Kahne Ko Hain

haidar-ali-aatish

Is Ke Kuche Mein Masiha Har Sahar Jata Raha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet