falak ko kis ne ik parkar par rakkha hua hai
zamin ko bhi usi raftar par rakkha hua hai
abhi ik ḳhvab main ne jagte men aise hai dekha
mira aansu tire ruḳhsar par rakkha hua hai
shikast-o-fat.h ki ḳhatir hamen laḌna nahin hai
hamara faisla salar par rakkha hua hai
palaT kar aa hi ja.ega kabhi bhule se shayad
so main ne ik diya divar par rakkha hua hai
Leave a Reply