har ek ki har pasand Thahre har ek ka intiḳhab nikle
hami ko achchha bataya sab ne hami ziyada ḳharab nikle
saval tha is taraf ana ka vaqar ka mas.ala udhar tha
na dar pe ḳhana-ḳharab pahunche na ghar se ali-janab nikle
ka.i adaon ne gudgudaya ka.i nigahon ne dastaken diin
ye vaqiye dil-nashin bahut the magar haqiqat men ḳhvab nikle
suni andheron ki sugbugahaT to shaam yadon ki kahkashan se
chhupe hue mahtab nikle bujhe hue aftab nikle
main mutma.in huun ki lab-kusha.i se main ne had-e-adab na toḌi
vo is pe ḳhush hai ki aaj us ke saval sab la-javab nikle
Leave a Reply