Tumhaare Ghar Pe Main Aa to Nahin Raha Mere Dost

tumhāre ghar pe maiñ aa to nahīñ rahā mire dost

ghumā phirā ke batāo na rāsta mire dost

havā ho garm ki ThanDī pasīna sūkhtā hai

vo merā dost hai achchhā hai yā burā mire dost

bichhaḌte vaqt zarūrat nahīñ hoī mahsūs

aur ab na rābta number na rābta mire dost

maiñ yuuñ to ek mohabbat ke qā.elīn meñ thā

tujhe milā to rahā hī nahīñ gayā mire dost

hamārī aañkh meñ quvvat hai rañg chakhne kī

hamārī aañkh batātī hai zā.iqa mire dost

purāne giit meñ shāmil kiye haiñ saaz na.e

suḳhan meñ itnā to hissa rahā mirā mire dost

Leave a Comment