• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aghyar Chhod Mujh Sen Agar Yar Howega

Aghyar Chhod Mujh Sen Agar Yar Howega

siraj-aurangabadi

aghyar chhod mujh sen agar yaar hovega

shayad ki yaar mahram-e-asrar hovega

bujhega qadr mujh dil-e-ashufta-hal ki

phande men zulf ke jo giraftar hovega

be-fikr main nahin ki sanam mast-e-khvab hai

kya kya bala karega jo bedar hovega

pinhan rakha huun dard kuun lohu ki ghunt pi

kahta nahin kisi sen ki izhar hovega

bazm-e-junun men saghar-e-vahshat piya jo kui

ghaflat sen aql-o-hosh ki hushiyar hovega

teri bhanvon ki tegh ke paani kuun dekh dil

atka hai is sabab ki nadi paar hovega

rangin na kar tuun dil ka mahal naqsh-e-aish sen

gham ke tabar sen maar ki mismar hovega

barja hai yaar mujh pe agar mehrban hai

bulbul pe gul baghair kise pyaar hovega

jaata nahin hai yaar ki shamshir ka khayal

maalum yuun hua ki gale haar hovega

inkar mujh kuun niin hai tiri bandagi sati

yaan kya hai balki hashr men iqrar hovega

mujh paas phir kar aave agar vo kitab-ru

maktab men dil ke dars ka takrar hovega

sehn-e-chaman men dekh tere qad ki rasti

har sard tujh salam kuun khamdar hovega

us chashm-e-nim-khvab ki dekhe agar bahar

nargis chaman men takhta-e-divar hovega

us zulf-e-ambarin sen jo yak taar jhad pade

har khub-ru kuun turra-e-dastar hovega

ai jaan mere paas sen yak-dam juda na ho

jiina tire firaq men dushvar hovega

rakhta hai garche aaina faulad ka jigar

tir-e-nigah ke samne lachar hovega

mat ho shab-e-firaq men be-tab ai ‘siraj’

ummid hai ki subh kuun didar hovega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

humaira-rahat

Fasana Ab Koi Anjam Pana Chahta Hai

insha-allah-khan-insha

Kash Abr Kare Chadar-E-Mahtab Ki Chori

Panw Ka Dhyan to Hai Rah Ka Dar Koi Nahin

Ajib Waqia Tha Usko Apne Ghar Lana

Zat Ka Meri Jo Chehra Hota

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet