diya nahin hai mujhe chhup-chhupa ke rone tak
nazar men us ne rakhe mere ghar ke kone tak
main kya bata.un ki biite hain kya kaḌe mausam
shadid karb se guzra huun sang hone tak
vo raushni ki tarah tez tez chalta hai
guzar na jaa.e kahin aankh men samone tak
koi karega nahin dekh-bhal phulon ki
sab ehtimam-e-baharan hai biij bone tak
tabah to nahin karta tamam niind miri
mujhe ye dard jagata hai sirf sone tak
kahan vo maslak-e-pakizgi raha ‘asim’
hai ab to mashq-e-vuzu dast-o-pa ko dhone tak
Leave a Reply