aise dekha hai ki dekha hi na ho
jaise mujh ko tiri parva hi na ho
ba.az ghar shahr men aise dekhe
jaise un men koi rahta hi na ho
mujh se katra ke bhala kyuun jaata
shayad us ne mujhe dekha hi na ho
ye samajhta hai har aane vaala
main na aa.uun to tamasha hi na ho
yuun bhaTakne pe huun qaane jaise
raston men koi dariya hi na ho
raat har chaap pe aata tha ḳhayal
uTh ke dekhun koi aaya hi na ho
kaise chhoḌun dar-o-divar apne
kya ḳhabar lauT ke aana hi na ho
hain sabhi ghair to apna maskan
shahr kyuun ho koi sahra hi na ho
yuun to kahne ko bahut kuchh hai ‘shu.ur’
kya kahun jab koi sunta hi na ho
Leave a Reply