shahr-e-dil phir mira viran hua jaata hai
ghar ki barbadi ka saman hua jaata hai
ghaliban phir na.i uftad paḌi hai dil par
saans bhi nuuh ko tufan hua jaata hai
teri har baat se girta hai kaleja kaT kar
tera har lafz to paikan hua jaata hai
hijr ki raat to karvaT men guzar jaati hai
aur din bhi bahut asan hua jaata hai
saara gham meri hi qismat men likha hai ‘saifi’
dil mira ‘mir’ ka divan hua jaata hai
Leave a Reply