gulshan hai isi ka naam agar hairan huun bayaban kya hoga
hangam-e-baharan jab ye hai anjam-e-baharan kya hoga
saaqi ke dayar-e-rahmat men hindu-o-musalman kya hoga
is bazm-e-pak-nihadan men aluda-e-iman kya hoga
ye jang to laḌna hi hogi har barg se chahe ḳhuun Tapke
kanTon se jo gul Dar ja.ega dara-e-gulsitan kya hoga
ulfat ko miTane ke dar pe duniya aur main is soch men huun
ulfat na rahegi jab baaqi ḳhvab-e-dil-e-insan kya hoga
main duur bhi tum se ji lunga tum mere liye kuchh gham na karo
maana ki pareshan dil hoga aisa bhi pareshan kya hoga
jis haath men hai shamshir-o-tir kya us se umid-e-barg-o-samar
jo shaḳh-e-nasheman toḌega memar-e-gulistan kya hoga
kis shai pe abhi ham jashn karen har-su kanTe kuḌa-karkaT
kuchh rang-e-chaman aa.e to sahi ghure pe charaghan kya hoga
jo tishna-labon ke haq ke liye saaqi se laḌe vo rind kahan
jo dast-o-dahan ka ḳhugar hai vo dast-o-gareban kya hoga
saaqi ki ghulami kar lega aur vo bhi kuchh qatron ke liye
nadan sahi mulla lekin itna bhi vo nadan kya hoga
avaz-e-zamir apni sun kar ‘mulla’ ne bana li rah-e-amal
ye fikr kabhi us ko na hui andaz-e-harifan kya hoga
Leave a Reply