siine ki misal aag hai chandi sa dhuan hai
kya ḳhuub mire ghar ki tabahi ka saman hai
dekhun to mire gham men sharik ek zamana
sochun to yahan koi makin hai na makan hai
kis darja tilismi hai mire gaanv ka manzar
sukhe hue har khet pe sabze ka guman hai
aisa bhi koi shahr-e-tamanna hai zamin par
luTne ka jahan ḳhauf na andesha-e-jan hai
pital ka ḳharidar samajhte hain mujhe log
har shaḳhs ki bazar men chandi ki dukan hai
aari hai magar zaḳhm se har saya-e-divar
har chand ki divar pe barish ka nishan hai
patthar ke kisi shahr men abad hai ‘shahid’
hai mom ka insan to shishe ka makan hai
Leave a Reply