be-sabab log badalte nahin maskan apna
tum ne jalte hue dekha hai nasheman apna
kis kaḌe vaqt men mausam ne gavahi mangi
jab gareban hi apna hai na daman apna
apne luT jaane ka ilzam kisi ko kya duun
main hi tha rah-numa main hi tha rahzan apna
koi milta hai jo is daur-e-pur-ashob men dost
mashvare de ke bana lete hain dushman apna
jab bhi sach bolte bachchon pe nazar paḌti hai
yaad aa jaata hai be-saḳhta bachpan apna
yuun kiya karte hain laḌkon ko nasihat aksar
jaise ham ne na guzara ho laḌakpan apna
rang-e-mahfil ke liye ham nahin badle ‘mohsin’
vahi andaz-e-taḳhayyul hai vahi fan apna
Leave a Reply