gham-e-hayat ko na-ḳhush-gavar kar na saka
mira zamir mujhe sharmsar kar na saka
ḳhirad ko nazr-e-fareb-e-bahar kar na saka
junun ki aam ravish iḳhtiyar kar na saka
na puchh gham ki nazakat ajiib raaz hai ye
ki main nigah se bhi ashkar kar na saka
qalil vaqfa-e-hasti ne kar diya majbur
ba-qadr-e-zauq tira intizar kar na saka
Leave a Reply