badhe hai din-ba-din tujh mukh ki taab ahista ahista
ki juun kar garm ho hai aftab ahista ahista
kiya khat nen tire mukh kuun kharab ahista ahista
gahan juun maah kuun leta hai daab ahista ahista
laga hai aap siin ai jaan tire ashiq ka dil rah rah
kare hai mast kuun be-khud sharab ahista ahista
dil ashiq ka kali ki tarah khilta jaae khush ho ho
ada siin jab kabhi khole naqab ahista ahista
laga hai ‘abru’ mujh kuun ‘vali’ ka khuub ye misra
saval ahista ahista javab ahista ahista
Leave a Reply