pyaar ka aaj chalan dosto dushvar hai kyon
aaj insan ḳhud insan se bezar hai kyon
aaj ke daur ne ye kaun si karvaT li hai
aaj ke daur men ma.asum gunahgar hai kyon
be-gunahon ka lahu shahr men arzan hi sahi
asman par bhi vahi rang numudar hai kyon
main to mar jaane ko tayyar huun dushman ke liye
mera dushman bhi magar marne ko tayyar hai kyon
kya tire kuche hi ki den tarahdari hai
tere kuche se jo guzra vo tarah-dar hai kyon
pahle barson men bhi sunne ko na milta tha ye naam
aaj honTon pe har ik ke rasan-o-dar hai kyon
kya ham is daur ko shub.hat ka ik daur kahen
shak men Duuba hua har shaḳhs ka kirdar hai kyon
kyon ḳhulus aur sadaqat se nahin kuchh hasil
makr hi makr zamane ko saza-var hai kyon
tere maiḳhane ke faizan-o-karam sab taslim
tere maiḳhane ka har jaam nigun-sar hai kyon
kal tak us shoḳh ki yadon pe tha jiine ka madar
aaj us shoḳh ki har yaad giran-bar hai kyon
gosha-e-dil men bhi but-ḳhane hua karte hain
‘qadir’ is baat se ab aap ko inkar hai kyon
Leave a Reply