duniya se har rishta toda khud se ru-gardani ki
sirf tumhara dhyan rakha aur jiine men asani ki
majnun aur farhad hue jab ishq men sab barbad hue
tab jangal ne kuuch kiya sahra ne naql-e-makani ki
us ki mohni surat jaise phulon ka ameza hai
aur us ki avaz hai goya re-ga-ma-pa-dhani ki
bhuli-bisri yaad ne jab daryaft kiya ahval mira
dil ne zakhm kalam kiya ankhon ne ashk-bayani ki
ilm ka dam bharna chhodo bhi aur amal ko bhuul bhi jaao
aina-khane men ho sahib fikr karo hairani ki
Leave a Reply