ham-nafas khvab-e-junun ki koi taabir na dekh
raqs karna hai to phir paanv ki zanjir na dekh
tu kisi husn-e-jahan-soz ki tasvir na dekh
apne guzre hue halat ki tafsir na dekh
husn-e-tadbir se taqdir badal de apni
jo hai halat se mansub vo taqdir na dekh
tu parastar-e-amal hai to amal ki khatir
khvab-e-rangin ki qasam khvab ki taabir na dekh
razm-e-hasti se guzarna hai agar tujh ko ‘niyaz’
zulmat-e-shab ko samajh sub.h ki tanvir na dekh
Leave a Reply