jaisa socho vaisa matlab hota hai
halki baat ka gahra matlab hota hai
chehra paḌh kar dekhoge to janoge
ḳhamoshi ka kya kya matlab hota hai
hijrat ko tum naql-e-makani kahte ho
hijrat ka mar jaana matlab hota hai
apni baat mukammal kar ke jaao tum
aadhi baat ka ulTa matlab hota hai
shahzadi hai duniya matlab vaali ye
sab ka apna apna matlab hota hai
Leave a Reply