sukun paaya tabi.at ne na dil ko hi qarar aaya
jo aansu aankh men aaya baḌa be-e’tibar aaya
kisi ka bankpan saare zamane men pukar aaya
chamak ankhon men aa.i nok-e-mizhgan par nikhar aaya
muqaddar apna apna hai gul-o-shabnam ki vaadi men
koi hansta hua aaya to koi ashk-bar aaya
mujhe kya vasta hai aap ke husn-e-taḳhyyul se
miri ankhon pe jab aaya mire ḳhvabon ko pyaar aaya
tiri be-iltifati ko ḳhuda rakhe ki ai saaqi
sharab-e-gham se ham tishna-labon par bhi ḳhumar aaya
hue hain rang-o-bu dast-o-gareban aise gulshan men
nasim-e-sub.h ka daman bhi ho kar taar taar aaya
dhuan jo be-kason ki aah ka uTTha to ai ‘jumbish’
chaman vaale pukar uTThe ki vo abr-e-bahar aaya
Leave a Reply