dhuup uthata huun ki ab sar pe koi baar nahin
beach divar hai aur saya-e-divar nahin
shahr ki gasht men hain subh se saare mansur
ab to mansur vahi hai jo sar-e-dar nahin
mat suno mujh se jo azar uthane honge
ab ke azar ye phaila hai ki azar nahin
sochta huun ki bhala umr ka hasil kya tha
umr-bhar saans liye aur koi ambar nahin
jin dukanon ne lagae the nigah men bazar
un dukanon ka ye rona hai ki bazar nahin
ab vo halat hai ki thak kar main khuda ho jaun
koi dildar nahin koi dil-azar nahin
mujh se tum kaam na lo kaam men laao mujh ko
koi to shahr men aisa hai ki be-kar nahin
yad-e-ashob ka aalam to vo aalam hai ki ab
yaad maston ko tiri yaad bhi darkar nahin
vaqt ko suud pe de aur na rakh koi hisab
ab bhala kaisa ziyan koi kharidar nahin
Leave a Reply